libas-e-yar ko main para-para kya karta qaba-e-gul se use istiara kya karta bahaar-e-gul mein hain dariya ke josh ki lahren bhala main kashti-e-mai se kinara kya karta naqab ulat ke jo munh aashiqon ko dikhlate tumhin kaho ki tumhaara nazara kya karta suna jo haal-e-dil-e-zar yar ne to kaha tabib marte hue kahe chaara kiya karta hilal-e-id ka har-chand ho jahan mushtaq tumhaari abruon ka sa ishaara kya karta haqiqat-e-dahan-e-yar kholta kyun-kar nahufta raaz ko main aashkara kya karta qadam ko pichhe rah-e-khaufnak-e-ishq mein rakh ye pahle dekh le dil hai ishaara kya karta khum-e-sharab se mujh mast ne na munh phera kanar-e-ab se pyasa kinara kya karta bahaar thi jo wo gul-chehra yar bhi hota akele ja ke chaman ka nazara kya karta gudaz mom se har ustukhan ko pata hun phir aur sozish-e-dil ka harara kya karta bada hi khwar ilaqa hai gulshan-e-ulfat meri tarah koi is mein ijara kya karta sharab-e-khuld ki khatir dahan hai rakhta saf wazu mein warna ye zahid gharara kya karta shikasta-dil na ho us but ke naz se kyun-kar suluk shisha se hai sang-e-khara kya karta bahaar-e-gul mein piyala laga liya munh se sharab pine ko main istikhara kya karta faqir ko nahin darkar shan amiron ki sar-e-barahna sar-e-goshwara kya karta bahaar-e-gul mein tha jame se bahar ai 'atish' na karta main jo gareban ko para kya karta