lakht-e-jigar to apne yak-lakht ro chuka tha ashk-e-faqat ka jhamka aankhon se lag raha tha daman mein aaj dekha phir lakht main le aaya tukda koi jigar ka palkon mein rah gaya tha us qaid-e-jeb se main chhota junun ki daulat warna gala ye mera jun tauq mein phansa tha musht-e-namak ki khatir is waste hun hairan kal zakhm-e-dil nihayat dil ko mere laga tha ai gard-baad mat de har aan arz-e-wahshat main bhi kasu zamane is kaam mein bala tha bin kuchh kahe suna hai aalam se main ne kya kya par tu ne yun na jaana ai bewafa ki kya tha roti hai shama itna har shab ki kuchh na puchho main soz-e-dil ko apne majlis mein kyun kaha tha shab zakhm-e-sina upar chhidka tha main namak ko nasur to kahan tha zalim bada maza tha sar mar kar hua tha main khak us gali mein sine pe mujh ko us ka mazkur naqsh-e-pa tha so bakht-e-tira se hun pamali-e-saba mein us din ke waste main kya khak mein mila tha ye sar-guzasht meri afsana jo hui hai mazkur us ka us ke kuche mein ja-ba-ja tha sun kar kisi se wo bhi kahne laga tha kuchh kuchh be-dard kitne bole han us ko kya hua tha kahne laga ki jaane meri bala azizan ahwal tha kisi ka kuchh main bhi sun liya tha aankhen meri khulin jab ji 'mir' ka gaya tab dekhe se us ko warna mera bhi ji jala tha