sher kya jis mein nok-jhok na ho murgh phir kya lade jo nok na ho kahin dekhe hi sada-ru khunkhar chashma-e-aina mein jok na ho wahi kucha bhula ki jis mein kabhu dandanalon ki rok-tok na ho nam gardun pe jis ka hai parwin neshkar ka ye us ke phok na ho randi-bazi wo kya kare phir khak pas jis ke kitab-e-kok na ho galla bayad haris-e-shahwat-ra ek bakri se shad-bok na ho pet ka bhad hai bala na bhare khub ta is mein jhoka-jhok na ho husn mutrib hai sun ke gane ka pesha le jab gale mein dok na ho kya phanketi ka wo kare dawa 'mushafi' yaad jis ko rok na ho