lala-ru tum ghair ke pale paDe

lala-ru tum ghair ke pale pade
dekhne ke hain hamein lale pade

jab nazar surme ke dumbaale pade
dil ke pichhe tir aur bhaale pade

is baras furqat mein tere ashk ke
chashm se bahte hain parnale pade

hum hawa-e-wasl mein yan tak phire
jo hawas ke panw mein chhaale pade

aariz us ke par nahin zulf-e-siyah
ganj par sote hain do kale pade

aah aur nale ke girda-gird dil
phirte hain raaton ko rakhwale pade

kya nazakat hai ki bosa lete hi
hont par us gul ke tab khale pade

aankhen us khun-khar se phir ja ladin
zakhm-e-dil ke hain abhi aale pade

ishq ke hathon se jun farhad-o-qais
kya kahin kis kis ke ghar ghaale pade

aashiq us ki mast aankhon ke mudam
phirte hain behosh matwale pade

shaikh tum filhaal dar-bazm-e-sama
bad-usuli se ho be-tale pade

apne ghar mein shaikh andheri raat mein
hath jo aawe use ja le pade

khole ye shishon ke munh saqi ne aaj
bazm mein tirte hain kya pyale pade

udte phirte hain zamin par shakl-e-abr
parcha parcha rui ke gale pade

dar par us gul ke 'muhib' tum se hazar
phirte hain dil bechne wale pade


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close