tumhaara gham na ho to zindagi achchhi nahin lagti khamoshi se bahe jo wo nadi achchhi nahin lagti pade ho ishq mein to ishq ki tahzib bhi sikho kisi aashiq ke chehre par hansi achchhi nahin lagti ye man karta hai baadal aa ke dhak len chand ko pura hon jab wo pas to phir chandni achchhi nahin lagti kaha us ne hamein kab wasl se inkar hai lekin khalish sine mein us ke baad ki achchhi nahin lagti ajab hai baat hairat ki hamari shakl ye un ko kabhi lagti hai achchhi aur kabhi achchhi nahin lagti likhi hain sari ghazlen bas usi ke waste main ne wahi han wo hi jis ko shairi achchhi nahin lagti