lamha-e-takhliq bakhsha us ne mujh ko bhik mein main ne lautaya use ek nazm ki taknik mein baam-o-dar ki raushni phir kyun bulati hai mujhe main nikal aaya tha ghar se ek shab-e-tarik mein faisle mahfuz hain aur fasle hain barqarar gard udti hai yaqin ki wadi-e-tashkik mein si ke phaila dun bisat-e-fan pe main daman-e-chaak dor to guzre nazar ki sozan-e-barik mein main ziyarat-gah-e-agahi se laut aaya hun dost phul laya hun alam ke hadiya-e-tabrik mein bol mere sur ko chhute chhute rah jate hain 'saz' aah ye kaisi kasar hai dard ki tahrik mein