samajh sake na jise koi bhi sawal aisa buna hai sans ke dhagon ne ek jal aisa kabhi dimagh tha mujh ko bhi khud-parasti ka palat ke zehn mein aaya na phir khayal aisa main aasman to na tha jis mein chand chhup jate hua na hoga kisi ka kabhi zawal aisa tamam umr nae lafz ki talash rahi kitab-e-dard ka mazmun tha paemal aisa kinar-e-ab na pahunchegi jaan ki kashti bahut dinon se hai pani mein ishtial aisa