lamha lamha apni zahrili baaton se dasta tha wo mera dushman ho kar bhi mere ghar mein basta tha bap mara to bachche roti ke tukde ko taras gae ek tane se kitni shakhon ka jiwan wabasta tha afwahon ke dhuen ne koshish ki hai kalak malne ki wo bikne ki shai hota to har qimat par sasta tha ek manzar mein ped the jin par chand kabutar baithe the ek bachche ki lash bhi thi jis ke kandhe par basta tha jis din shahr jala tha us din dhup mein kitni tezi thi warna is basti par 'anjum' baadal roz barasta tha