lamha lamha dastak de kar tadpata hai jaane kaun raat gae man-darwaze par aa jata hai jaane kaun apni sanson ki khushbu ko ghol ke meri sanson mein mera suna jiwan-angan mahkata hai jaane kaun ek anjaane hath ko akasr shane par mahsus karun mujh se dur hi rah kar mujh ko apnata hai jaane kaun aankhen to parbat ke pichhe chhupte chand ko dekhen bas us manzar ki ot mein lekin sharmata hai jaane kaun dhup mein dasht-e-tanhai ki mere jalte honton ko lams apne gul-barg lab ka de jata hai jaane kaun apne parae chhut gae sab aas-khilaune tut gae phir bhi ziddi man-baalak ko bahlata hai jaane kaun yaksan tewar yaksan chehre sab hi dukh dene wale lekin is basti mein bhi ek sukh-data hai jaane kaun