nikhre to jagmaga uthe bikhre to rang hai suraj tere badan ka bada shokh o shang hai tarikiyon ke par chamakti hai koi shai shayad mere junun-e-safar ki umang hai kitne ghamon ka bar uthae hue hai dil ek zawiye se shisha-e-nazuk bhi sang hai sahra ki god mein bhi milenge bahut se phul ye apne apne taur pe jine ka dhang hai shayad junun hi ab to kare rahbari 'asar' hum us maqam par hain jahan aql dang hai