lamhe uljhan ke qarib aa pahunche sae rahzan ke qarib aa pahunche aansuon se hi bujha le nadan shoale daman ke qarib aa pahunche kaun mujrim ko bacha sakta hai hath daman ke qarib aa pahunche shisha-o-mai jo kabhi raqs mein the sang-o-ahan ke qarib aa pahunche ab to apnon pe bharosa na raha dost dushman ke qarib aa pahunche shor sun kar meri ruswai ka wo bhi chilman ke qarib aa pahunche hum riwayat ko pighla ke 'nushur' ek nae fan ke qarib aa pahunche