lamhon ka bhanwar chir ke insan bana hun ehsas hun main waqt ke sine mein gada hun kahne ko to har mulk mein ghuma hun phira hun sochun to jahan tha wahin chup-chap khada hun foot-path pe arse se pada soch raha hun patta to main sarsabz tha kyun tut gira hun ek roz zar-o-sim ke ambar bhi the hech bikne pe jo aaya hun to kaudi pe bika hun shayad ki kabhi mujh pe bhi hire ka guman ho dekho to main patthar hun magar soch raha hun haalat ka dhaara kabhi aise bhi ruka hai nadan hun ki main ret ke band bandh raha hun ek ret ki diwar ki surat the sab aadarsh jin ke liye ek umr main duniya se lada hun ahbab ki nazron mein hun gar wajib-e-tazim kyun apni nigahon mein buri tarah gira hun ai 'fakhr' garajka meri fitrat sahi lekin jo ghair ki marzi se hi barse wo ghata hun