aae aane ko hazaron gham hazaron gham gae gham ziyaada se ziyaada aae kam se kam gae dam dilase hausle dete masiha dam gae aae be-had khush magar ba-dida-e-pur-nam gae ab na aana tum pae bimar-pursi dosto ab yahi alfaz kafi hain tum aae hum gae ud gae to ud gae kafur ki manind hum jam gae to anjuman mein surat-e-yakh jam gae dar-ba-dar dhuni ramane wale ramte ab kahan dar-ba-dar dhuni ramane wale ramte ram gae yurish-e-barq-o-bala mein kab mera dam-kham gaya jal gai rassi to kya kya us ke pech-o-kham gae ab to apne aap mein bhi hazrat-e-adam nahin ab to apne aap se bhi hazrat-e-adam gae