lamhon ke azab sah raha hun main apne wajud ki saza hun zakhmon ke gulab khil rahe hain khushbu ke hujum mein khada hun is dasht-e-talab mein ek main bhi sadiyon ki thaki hui sada hun is shahr-e-tarab ke shor-o-ghul mein taswir-e-sukut ban gaya hun benam-o-numud zindagi ka ek bojh uthae phir raha hun shayad na mile mujhe rihai yaadon ka asir ho gaya hun ek aisa chaman hai jis ki khushbu sanson mein basae phir raha hun ek aisi gali hai jis ki khatir darmanda ku-ba-ku raha hun ek aisi zamin hai jis ko chhu kar taqdis-e-haram se aashna hun ai mujh ko fareb dene wale main tujh pe yaqin kar chuka hun main tere qarib aate aate kuchh aur bhi dur ho gaya hun