lamhon ki ghutan khauf ka tufan bahut hai meri hi tarah waqt pareshan bahut hai hum jis ke liye shahr-e-sakun chhod ke aae wo dasht-e-junun-khez bhi sunsan bahut hai mujh se meri manzil ka pata puchhne walo har rasta mere liye anjaan bahut hai har mod pe ek koh-e-giran ban ke khade hain tute hue logon mein abhi shan bahut hai aabaad the jis mein teri yaron ke qabile wo qarya-e-jaan in dinon viran bahut hai ai dosto dukh-dard ke qisse na sunao 'khurshid'-sahar aaj pareshan bahut hai