jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha tamam shahr ko hum ne barahana paya tha na apni subh ki khushiyan na apni sham ka gham hamare pas to jo kuchh tha wo paraya tha talash karti hai jis ko tumhaari rahguzar wo main nahin tha meri justuju ka saya tha wo hans raha tha magar ashk-e-gham na rok saka zara si baat pe jis ne hamein rulaya tha ajib mod tha tark-e-talluqat ka wo jab apne-ap se hum ne fareb khaya tha dhuan dhuan thi faza gard gard tha manzar dhundlaka sham ka jis din sahar pe chhaya tha