lapke junun-shiar yake-baad-digre paya faraaz-e-dar yake-baad-digre lab-basta bastiyon ka phir anjam ye hua sab ka luta qarar yake-baad-digre ye kya ki ahl-e-dil hi ke hisse mein aae hain ilzam be-shumar yake-baad-digre dil ka kamal hai mutazalzal nahin hua kitne hue hain war yake-baad-digre in masalon ne dhang se jine kahan diya sar par rahe sawar yake-baad-digre mitte dikhai dete hain afsos ai 'naim' achchhe sabhi shiar yake-baad-digre