koi kali hai na ghuncha na gul bara-e-saba

koi kali hai na ghuncha na gul bara-e-saba
chaman mein kante hain daman bacha ke aae saba

na ab tilism-e-bahaaran na ab fusun-e-jamal
wo lamhe khwab hue khwab bhul jae saba

kabhi fazaon mein khushbu udae phirti thi
magar ye din ki bahaaron mein khak udae saba

kali hai mohr-ba-lab phul hai gareban chaak
ajal ki dhup hai phirti hai sae sae saba

na kuchh nishan ki sada hai na aahaton ke nishan
chaman mein dhundte phirte hain naqsh-e-pa-e-saba

ghutan hai aisi ki sarsar ko bhi taraste hain
kise pukaren kahan jaen ai khuda-e-saba

harim-e-ghuncha mein khushbu simat ke baithi hai
hijab utthe jo sahn-e-chaman mein aae saba

khabar nahin mujhe kis samt le ke ud jae
kai dinon se mere sar mein hai hawa-e-saba

bhatakti phirti hai sahra-e-dard mein 'khatir'
bichhad gaya ho koi jaise aashna-e-saba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close