larzish-e-parda-e-izhaar ka matlab kya hai hai ye diwar to diwar ka matlab kya hai jis ka inkar hatheli pe liye phirta hun jaanta hi nahin inkar ka matlab kya hai ek bar us ne agar de hi diya saf jawab phir usi baat pe israr ka matlab kya hai bechna kuchh nahin is ne to kharidar hain kyun aakhir is garmi-e-bazar ka matlab kya hai us ki rahon mein bikhar jae ye khakistar-e-chashm aur apne liye didar ka matlab kya hai rabt baqi nahin alfaz o maani mein 'zafar' kya kahen us se ki is pyar ka matlab kya hai