mausam ko bhi 'waqar' badal jaana chahiye kholi hain khidkiyan to hawa aana chahiye beja ana se aur ulajhte hain masale aaya nahin hai wo to mujhe jaana chahiye sach ko bhi jhut jhut ko sach kar dikhaoge bas ek amir-e-shahr se yarana chahiye suraj ka faiz aam hai par wo bhi kya kare rauzan to ghar mein koi nazar aana chahiye hum jaise log yun to bade sakht-jaan hain ek war chahiye so sharifana chahiye