latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti chaman zangar hai aaina-e-baad-e-bahaari ka harif-e-joshish-e-dariya nahin khuddari-e-sahil jahan saqi ho tu baatil hai dawa hoshiyari ka bahaar-e-rang-e-khun-e-gul hai saman ashk-bari ka junun-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahaari ka bara-e-hall-e-mushkil hun zi-pa uftada-e-hasrat bandha hai uqda-e-khatir se paiman khaksari ka ba-waqt-e-sar-niguni hai tasawwur intizaristan nigah ko aablon se shaghl hai akhtar-shumari ka 'asad' saghar-kash-e-taslim ho gardish se gardun ki ki nang-e-fahm-e-mastan hai gila bad-rozg-ari ka