yunhi mar mar ke jien waqt guzare jaen zindagi hum tere hathon se na mare jaen ab zamin par koi gautam na mohammad na masih aasmanon se nae log utare jaen wo jo maujud nahin us ki madad chahte hain wo jo sunta hi nahin us ko pukare jaen bap larzan hai ki pahunchi nahin baraat ab tak aur ham-joliyan dulhan ko sanware jaen hum ki nadan juari hain sabhi jaante hain dil ki bazi ho to ji jaan se haare jaen taj diya tum ne dar-e-yar bhi ukta ke 'faraaz' ab kahan dhundhne gham-khwar tumhaare jaen