latif aisi kuchh is dil ki shisha-kari thi ki ek raat bhi hum ahl-e-dil pe bhaari thi hazar marke sar kar ke log haar gae husain-ibn-e-ali! fath to tumhaari thi usi ke sae mein sustae us ke bairi bhi us aadmi mein darakhton si burdbari thi lahu ki aag mein dil jhulsa jhulsa jata tha daricha khol ke dekha to barf-bari thi qatil ho ke bhi main apne qatilon se lada ki mere baad mere doston ki bari thi shajar pe buzne baithe unhen bulate the magar parindon ki parwaz-e-naz jari thi har ek zarb ko dil sah gaya magar 'rahi' jo dast-e-gul ke sabab thi wo zarb kari thi