tum ne jo manfat se khasara badal diya hum ne mufahamat ka irada badal diya ai bewafa hayat teri gardishon ki khair tu ne bhi kaisa waqt sunahra badal diya koi to wardat hui hai ji us ke sath kuchh to hai jis ne ye dil-e-sada badal diya go jitna hamari baqa ka sawal tha lekin bisat-e-waqt ne mohara badal diya pahle to zist karne ki himmat thi aahani kam-maegi thi jis ne irada badal diya mafhum jaan lene se qasir nahin hain hum to kya hua ki aap ne fiqra badal diya ye raushni ka aadi raha hai tamam umr tarikiyon ne shahr ka naqsha badal diya apni tarah ke ek hi hain aap bhi janab jab hum badal gae to irada badal diya ye ishq hi ka wasf raha hai ki 'saima' dil pe chadha tha rang jo gahra badal diya