lau hun magar charagh ke andar nahin hun main

lau hun magar charagh ke andar nahin hun main
uthli siyahiyon ko bhi azbar nahin hun main

diwar hun aur ek jabin ka sawal hun
simte hue qadam ke liye dar nahin hun main

aankhon ke par aakhiri naddi hai nind ki
naddi ki tah mein rengta patthar nahin hun main

shishe ke us taraf bhi dikhai nahin diya
pani ke injimad se behtar nahin hun main

kuchh ped aa rahe hain meri dhup chhantne
suraj ke ikhtiyar se bahar nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close