bana de aur bhi kuchh dur ki sada mujh ko ye jitne fasle mumkin hain sab dikha mujh ko har ek chehre ko pahchanne ki koshish ne har ek chehre ki uljhan bana diya mujh ko thaka thaka sa tasalsul bana ke dariya ka ye phailta hua sahra na ab bana mujh ko main silsila hun sadaon ke tut jaane ka to soch kar hi dobara sada bana mujh ko tu meri baat hai to gunj ja mere andar main teri chup hun to phir tod kar dikha mujh ko main sun raha hun har ek chot mein sada apni ruke na hath tera todta hi ja mujh ko mera khayal hai ghar ke bahut qarib hun main har ek lamha na yun warna dekhta mujh ko ye log kya hain kisi ka koi wajud bhi hai ye aar-par nazar aa raha hai kya mujh ko ajab thakan hun kisi se na kuchh bhi kahne ki ajab tarah ye pada khud se wasta mujh ko main apne dhyan se khud hi utar gaya tha talkh sabhi ghalat hain kisi ne nahin suna mujh ko