lau ko chhune ki hawas mein ek chehra jal gaya shama ke itne qarib aaya ki saya jal gaya pyas ki shiddat thi sairabi mein sahra ki tarah wo badan pani mein kya utra ki dariya jal gaya kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya garmi-e-didar aisi thi tamasha-gah mein dekhne walon ki aankhon mein tamasha jal gaya khud hi khakistar kiya us ne mujhe aur us ke baad mujh se khud hi puchhta hai bol kya kya jal gaya sirf yaad-e-yar baqi rah gai dil mein 'salim' ek ek kar ke sabhi asbab-e-duniya jal gaya