wo aarzu wo tamanna wo iztirab nahin main ab wahan hun jahan koi baryab nahin teri nazar hai jise inqalab kahte hain teri nazar ke siwa koi inqalab nahin teri nigah ki shauq-afriniyan tauba jo kaamyab hai wo bhi to kaamyab nahin gham-e-firaq ki be-kaifiyan khuda ki panah sharab mein bhi to kaifiyyat-e-sharab nahin mujhe pukar rahe hain sanam-kade wale meri duaen jo kabe mein mustajab nahin sab inqalab the un ki nigah phirne tak ab aasman ki gardish mein inqalab nahin jab iltifat na tha ishtiyaq rahta tha ab iltifat hua hai to dil ko tab nahin wahin se uthte hain har inqalab ke baadal wo mai-kada ki jahan koi inqalab nahin meri nazar ko na thi tab un ke jalwon ki ab un ke jalwon ko meri nazar ki tab nahin badal gae hain shab-o-roz-e-zindagi 'bismil' wo mahtab nahin ab wo aaftab nahin