lawon ke jashn-e-zar mein khizan ko haal aaega mere shajar ke sae par agar zawal aaega darun-e-shahr-e-jehl agar jalengi haq ki mishalen to khwab-khurda saato tumhein malal aaega juda juda raha hai kya faqir rah nind mein ki zindagi ke bhaw par na ab uchhaal aaega pae farar rishwaten ata hon pasban ko fasil-e-shahr se pare yahi nikal aaega khabar na thi ki zat se karunga jab mukalima to har jawab par koi naya sawal aaega dimagh-o-dil se muflisho ye wahima nikal do amir-e-shahr nekiyan kuen mein dal aaega uruj ke surur mein jo gharq hain ye bastiyan yahan zawal aaega to be-misal aaega