dil tutne ka band ye ranj-o-malal kar ab phenkna ye kanch kahan hai khayal kar masruf dhundne mein hai koi shikar ko baitha hai koi apna yahan jal dal kar jis aadmi ko zahr bhi pachta tha ai tabib pine laga hai aaj wo pani ubaal kar nasur ho gaya tha ye na-qabil-e-rafu dil phenkna pada hamein aakhir nikal kar iman ko bhi apne jahan se bachaiye locker mein mal-o-zar hi na rakhiye sambhaal kar gar puchhna hi hai to zamane ka haal puchh bare padosiyon ke na hum se sawal kar 'jaanib' nasib wale to chahenge bas yahi ho faisle jahan mein sikke uchhaal kar