lazim hai buland aah ki rayat na kare tu taskhir agar dil ki wilayat na kare to aankhon ka bahe jaana saha girye par afsos ab bhi agar us dil mein sarayat na kare tu main modun na munh us ki jafa se pa karun kya is waqt wafa phir jo kifayat na kare tu jamiyyat-e-aghyar se darte nahin aashiq par khauf ye hai un ki himayat na kare tu ai qasid agar nama mera chaak kare yar behtar hai ki mujh se bhi riwayat na kare tu phir kah tu chimat kar na len hum bosa so kyunkar jab aap se gali bhi inayat na kare tu ai mir-'raza' tujh ko abhi us se mila den gar rashk ki phir hum se shikayat na kare tu