tamam umr safar ka samar milega mujhe pas-e-ufuq hi kahin ab to ghar milega mujhe ye kis liye main khala-dar-khala bhatakta hun wo kaun hai jo mera chand par milega mujhe mila na jis ke liye ghar ka narm garm sukun yahin kahin wo sar-e-rahguzar milega mujhe azab ye hai ki tanha kategi umr tamam safar ke baad koi ham-safar milega mujhe kahin dikhai na de kash chhodne wala kahunga kya main use ab agar milega mujhe