lazim hai laen dhund kar khud ko kahin se hum kya be-niyaz ho gae duniya-o-din se hum mahsus ho raha hai hamein tum se mil ke aaj jaise pahunch gae hon falak pe zamin se hum duniya-e-pur-fareb ke andaz dekh kar dil yun bujha ki ho gae khalwat-nashin se hum us jaan-e-arzu se mulaqat yun hui muddat ke baad jaise mile hon hamin se hum is husn-e-itiqad ki mearaj dekhna ek but ko kah rahe hain khuda kis yaqin se hum phir aa gae hain kucha-e-jaanan mein laut kar nikle the ek tawil safar par yahin se hum sikhe kahan se tu ne ye andaz-e-dilbari ji chahta hai puchh len us naznin se hum hum ko qadam qadam pe jo dete rahe fareb rakhe hue hain aas abhi tak unhin se hum fikr-o-nazar ko ishq ne bakhshi hain wusaten takte hain aasman ki jaanib zamin se hum ahl-e-nazar ke samne rakhenge ye ghazal hasil karenge dad kisi nukta-chin se hum jis arz-e-pak ne diya 'mahrum' ko janam aae hain ai 'bahaar' usi sarzamin se hum