phir hashr ke parda mein taqdir nazar aai aaina-e-wahshat mein taswir nazar aai jab qaid se hum chhute tadbir nazar aai jab pa-e-junun tute zanjir nazar aai ai marg rag-o-pai ko de muzhda-e-sairabi zahraba-e-hirman mein tasir nazar aai har harf-e-amal-nama kis shan se bol uttha tahrir ke parde mein taqrir nazar aai taraf-e-jigar-o-dil mein thi yas ki aabaadi virane ke pahlu mein tamir nazar aai afsun-e-karam dekho andaz-e-sitam dekho har mauj-e-shakar-khanda shamshir nazar aai diwangi-e-dil ka tha ek naya aalam kaunain se aazadi taskhir nazar aai is hasti-e-wahmi ne asrar-e-yaqin khole kya khwab nazar aaya tabir nazar aai andoh-e-wafa awwal dil-soz nazar aaya khakistar-e-dil aakhir iksir nazar aai