lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur tanha gae kyun ab raho tanha koi din aur mit jaega sar gar tera patthar na ghisega hun dar pe tere nasiya-farsa koi din aur aae ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaun mana ki hamesha nahin achchha koi din aur jate hue kahte ho qayamat ko milenge kya khub qayamat ka hai goya koi din aur han ai falak-e-pir jawan tha abhi aarif kya tera bigadta jo na marta koi din aur tum mah-e-shab-e-chaar-dahum the mere ghar ke phir kyun na raha ghar ka wo naqsha koi din aur tum kaun se the aise khare dad-o-sitad ke karta malak-ul-maut taqaza koi din aur mujh se tumhein nafrat sahi nayyar se ladai bachchon ka bhi dekha na tamasha koi din aur guzri na ba-har-haal ye muddat khush o na-khush karna tha jawan-marg guzara koi din aur nadan ho jo kahte ho ki kyun jite hain 'ghaalib' qismat mein hai marne ki tamanna koi din aur