sar-e-sahra habab beche hain lab-e-dariya sarab beche hain aur to kya tha bechne ke liye apni aankhon ke khwab beche hain khud sawal un labon se kar ke miyan khud hi un ke jawab beche hain zulf-kuchon mein shana-kush ne tere kitne hi pech-o-tab beche hain shahr mein hum kharab haalon ne haal apne kharab beche hain jaan-e-man teri be-naqabi ne aaj kitne naqab beche hain meri fariyaad ne sukut ke sath apne lab ke azab beche hain