lazzat-e-did ka chaska hai to aa dekh mujhe sahab-e-dida-e-bina hai to aa dekh mujhe meri surat hai tamasha-gah-e-yas-o-ummid gar tujhe shauq-e-tamasha hai to aa dekh mujhe sab meri baat pe kahte hain ki mukhtal hai dimagh tujh ko diwanon ka sauda hai to aa dekh mujhe mujh se bhi barsar-e-paikar hai qismat meri dekhna jang ka naqsha hai to aa dekh mujhe rabiya hai maraz-e-gham se bura haal mera gar mizaj aaj-kal achchha hai to aa dekh mujhe log puchhenge meri surat-o-sirat tujh se munh kisi ko jo dikhana hai to aa dekh mujhe