zawal-e-fikr ko zehnon ki tirgi kahte jo baat hum ne kahi hai wo aap bhi kahte faraaz-e-dar pa rudad-e-zindagi kahte khuda-shanas jo hote to waqai kahte taras rahe hain jo rahat ki zindagi ke liye wo kaise gham ko masarrat ki zindagi kahte ab aise log zamane se uth gae shayad tumhaare gham ko jo sarmaya-e-khushi kahte ye fikr-e-nau ke pujari ye raushni ke amin jo raushni kahin hoti to raushni kahte bahut talash kiya hum ne shahr-e-gham mein magar mila na koi jo rudad-e-zindagi kahte jo kaam ahl-e-junun ne kiya ba-nam-e-wafa shuur-mand use ruh-e-agahi kahte jo kam-nazar the aqidat ko dete kufr ka nam wafa-parast aqidat ko bandagi kahte ye ahl-e-fikr ye fan-kar daur-e-hazir ke ghazal ke nam se duniya ki baat bhi kahte mere junun ke taqaze agar samajh lete meri khudi ko wo mearaj-e-be-khudi kahte 'nigar' kash ye aish-o-tarab ke diwane sitam-zadon ki kahani kabhi kabhi kahte