lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe

lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe
kuchh adhure khwab the rah rah ke yaad aate rahe

manzil-e-ghurbat mein pichhe rah gae hushiyar log
hum diwane the bagulon mein bhi itraate rahe

lutne walon se mizaj-e-sham-e-ghurbat puchhiye
un ko kya malum jo tufan se katraate rahe

rasm-o-rah-e-nau-bahaaran kis qadar dilchasp hai
kuchh kali khilti rahi kuchh phul murjhate rahe

kya khabar raste mein kis ne rup kya dhaara miyan
mehrban waqt-e-safar to rang barsate rahe

rone wale baithe baithe waqt ko roya kiye
chalne wale aandhiyon mein bhi chale jate rahe

bhagte jate hain ab sham-e-nazar se dur-dur
muddaton tak jo dhundalke gham ko ras aate rahe

hum to sari raat 'nazish' bazm mein the dam-ba-khud
log andaz-e-taghaful ki qasam khate rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close