main dayar-e-ishq ka rah-rau mujhe khauf-e-sham-e-bala nahin kisi rahbar pe nazar nahin kisi ham-safar ka gila nahin gham-e-sazgar ka aaina na haram na dair na mai-kade ki bhatak raha hun idhar udhar kahin dil-jalon ka pata nahin ye fareb-e-lazzat-e-be-khudi ye gharib-e-shahr ki gum-rahi shab-e-tar kitni daraaz hai kahin dur tak bhi diya nahin ye mizaj-e-ishq ye sar-kashi ki zahe nawazish-e-agahi main harif-e-sham-o-sahar raha mujhe waqt lut saka nahin