lazzat-e-gham badha dijiye aap phir muskura dijiye chand kab tak gahan mein rahe ab to zulfen hata dijiye mera daman bahut saf hai koi tohmat laga dijiye qimat-e-dil bata dijiye khak le kar uda dijiye aap andhere mein kab tak rahen phir koi ghar jala dijiye ek samundar ne aawaz di mujh ko pani pila dijiye