hujum-e-gardish-e-dauran hai kya ghazal kahiye dil-o-dimagh pareshan hai kya ghazal kahiye ye kis ne aag laga di gulon ke daman mein dhuan dhuan sa gulistan hai kya ghazal kahiye jalae jate hain ab ghar mein aansuon ke charagh ajib jashn-e-charaghan hai kya ghazal kahiye ye sitiyon ki sada raat ka ye sannata sukut-e-shahr-e-khamoshan hai kya ghazal kahiye ghira hua hai chaman nargha-e-siyasat mein bahaar shoala-ba-daman hai kya ghazal kahiye jo 'raaz' mulk mein amn-o-aman ki baat kare ab us ke waste zindan hai kya ghazal kahiye