lazzat-e-girya se bhi dil ki KHalish kam to nahin

lazzat-e-girya se bhi dil ki khalish kam to nahin
ashk gauhar hi sahi zakhm ka marham to nahin

ye bhi mumkin hai gham-e-hijr gham-e-dahr bane
mushkilen ishq ki sang-e-rah-e-adam to nahin

gham ata karke na samjho ki mujhe shad kiya
dil mein sab kuchh hai magar hausla-e-gham to nahin

karwan aur chale aur chale aur chale
rahnuma sahib-e-manzil hai magar hum to nahin

chehra-e-shab pe kuchh anwar-e-sahar hain lekin
hum jis ummid mein jage the wo aalam to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close