sar bhi bhaari hai dil bhi bhaari hai be-qarari si be-qarari hai aasman par sitare hain raushan kaisi qudrat ki dast-kari hai pyas ne aaj kar diya sabit zaiqa aansuon ka khaari hai aap jis ko na sun sake ab tak bas wahi dastan hamari hai raat ke ba'd subh ka aana silsila ye azal se jari hai aaj-kal ke sharif-zadon mein saf goi na inkisari hai aap hindi zaban pe shaida hain hum ko urdu zaban pyari hai bhes badle hue na ho 'gauhar' aap ke dar pe jo bhikari hai