lazzat se nahin khali jaanon ka khapa jaana kab khizr o masiha ne marne ka maza jaana hum jah-o-hasham yan ka kya kahiye ki kya jaana khatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana ye bhi hai ada koi khurshid namat pyare munh subh dikha jaana phir sham chhupa jaana kab bandagi meri si banda karega koi jaane hai khuda us ko main tujh ko khuda jaana tha naz bahut hum ko danist par apni bhi aakhir wo bura nikla hum jis ko bhala jaana gardan-kashi kya hasil manind bagule ki is dasht mein sar gade jun sail chala jaana is girya-e-khunin ka ho zabt to behtar hai achchha nahin chehre par lohu ka baha jaana ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko aashiq ke huquq aa kar nahaq bhi mita jaana dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha jate to ho par hum se tuk aankh mila jaana us shama ki majlis mein jaana hamein phir wan se ek zakhm-e-zaban taza har roz utha jaana ai shor-e-qayamat hum sote hi na rah jawen is rah se nikle to hum ko bhi jaga jaana kya pani ke mol aa kar malik ne guhar becha hai sakht giran sasta yusuf ka bika jaana hai meri teri nisbat ruh aur jasad ki si kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana jati hai guzar ji par us waqt qayamat si yaad aawe hai jab tera yak-bargi aa jaana barson se mere us ki rahti hai yahi sohbat tegh us ko uthana to sar mujh ko jhuka jaana kab 'mir' basar aae tum waise farebi se dil ko to laga baithe lekin na laga jaana