lazzat si pa rahe hain gham-e-ashiqi se hum

lazzat si pa rahe hain gham-e-ashiqi se hum
kuchh waqt aur mangte hain zindagi se hum

jaise the bazm mein na mukhatib kisi se hum
afsana un se kah gae is sadgi se hum

is darja badh gae hain had-e-be-khudi se hum
ab to usi ko puchh rahe hain usi se hum

rangini-e-fareb-e-tabassum na puchhiye
kis sadgi mein aa gae kis sadgi se hum

husn-e-talab hai ye koi diwangi nahin
han han tujhi ko mang rahe hain tujhi se hum

dekha kabhi unhen kabhi khud par nigah ki
khele hain maut se to kabhi zindagi se hum

rangini-e-hayat sarab-e-hayat hai
paigham sun rahe hain ye har ek kali se hum

ai dil wo aaen bahr-e-'ayaadat yaqin nahin
uljhen fuzul kyon nafas-e-akhiri se hum

hoti hai ashk-e-gham hi se taskin-e-sham-e-gham
dil ki lagi bujhate hain dil ki lagi se hum

hain dagh-ha-e-dil ki shab-e-gham nawazishen
tarikiyon mein khelte hain chandni se hum

zehn-azma hai raaz naya roz ai 'shifa'
tang aa gae hain silsila-e-agahi se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close