bahaar aate hi daman-o-gireban jag uThte hain

bahaar aate hi daman-o-gireban jag uthte hain
gulistan karwaten lete hain zindan jag uthte hain

junun-afroz jab gesu-e-jaanan jag uthte hain
khirad ki god mein khwab-e-pareshan jag uthte hain

kabhi jab dil mein uthti hain kisi ki yaad ki maujen
to khwabida tamannaon ke tufan jag uthte hain

damakti hain kisi ke lab pe jab kirnen tabassum ki
fazaen chaunk jati hain gulistan jag uthte hain

gham-e-jaanan se dhalta hai gham-e-dauran ka aaina
ye wo qalib hai jis mein qalb-e-insan jag uthte hain

kabhi angdaiyan leti hain jab wo naghmagi nazren
nujum-o-mah ke saz-e-ghazal-khwan jag uthte hain

meri har sans ki lau irtiqa ki lai hi gati hai
teri aahat se naghmat-e-rag-e-jaan jag uthte hain

koi gham ho 'shifa' fitrat ka ek inam hota hai
ki is se zindagi ke sare imkan jag uthte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close