le chala jaan meri ruth ke jaana tera aise aane se to behtar tha na aana tera apne dil ko bhi bataun na thikana tera sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera tu jo ai zulf pareshan raha karti hai kis ke ujde hue dil mein hai thikana tera aarzu hi na rahi subh-e-watan ki mujh ko sham-e-ghurbat hai ajab waqt suhana tera ye samajh kar tujhe ai maut laga rakkha hai kaam aata hai bure waqt mein aana tera ai dil-e-shefta mein aag lagane wale rang laya hai ye lakhe ka jamana tera tu khuda to nahin ai naseh-e-nadan mera kya khata ki jo kaha main ne na mana tera ranj kya wasl-e-adu ka jo talluq hi nahin mujh ko wallah hansata hai rulana tera kaba o dair mein ya chashm-o-dil-e-ashiq mein inhin do-chaar gharon mein hai thikana tera tark-e-adat se mujhe nind nahin aane ki kahin nicha na ho ai gor sirhana tera main jo kahta hun uthae hain bahut ranj-e-firaq wo ye kahte hain bada dil hai tawana tera bazm-e-dushman se tujhe kaun utha sakta hai ek qayamat ka uthana hai uthana tera apni aankhon mein abhi kaund gai bijli si hum na samjhe ki ye aana hai ki jaana tera yun to kya aaega tu fart-e-nazakat se yahan sakht dushwar hai dhoke mein bhi aana tera 'dagh' ko yun wo mitate hain ye farmate hain tu badal dal hua nam purana tera