kya tarz-e-kalam ho gai hai har baat payam ho gai hai kuchh zahr na thi sharab-e-angur kya chiz haram ho gai hai aage to nahin nahin suni thi ab takiya-kalam ho gai hai jate jate payam-bar ko har subh se sham ho gai hai ab dekhiye mashq-e-paemali tarif-e-khiram ho gai hai pahunche hain jab us ki bazm mein hum majlis hi tamam ho gai hai aalam ko hai dawa-e-mohabbat ye khas bhi aam ho gai hai us but ke hamin nahin hain bande makhluq ghulam ho gai hai barbaad na hogi teri ulfat tajwiz maqam ho gai hai jagir junun ki qais ke baad ab 'dagh' ke nam ho gai hai