le dam-e-nigah-e-yar aaya karne kun mujhe shikar aaya kyun aawe na mujh badan sun khush bas mujh bar mein wo gul-izar aaya khat dekh tere rukh upar aaghaz aaina upar ghubar aaya jis baj thi dil kun be-qarari wo dil ka mere qarar aaya zahid ne apas ka zohd taqwa kuche mein tere bisar aaya nikla hai raqib-e-gul-badan sat le gul ki panah khar aaya mujh parda-e-dil pe saz kar gham ho nala mera sitar aaya shabnam nahin har sahar ai 'daud' tujh gham sun gul-e-ashk-bar aaya